
Tu Puchtaa Hain Mujhse....Ki Tune Kya Paaya Hain?
Dekh teri ulffat main
Maine
Dil,
Jigar aur
Imaan Gavaaya hain.
AANKHO ki nami sookh gayi,
JABAA pe aake baat Chooth gayi,
Mitti main mil gayaa
VAZOOD mera,
Aur chan se toot gayaa
GAROOR mera,
Tu Puchtaa Hain Mujhse....Ki Tune Kya Paaya Hain?......
Har Sapna
ADHOORA raha
Aur Khawabo main bhi
TU Naa rahaa
Naa rahi koi
TADBEER bas main
Jab Lain Gayaa Tu Meri
TAQDEER sang main
Phir Bhi Tu Puchtaa hain....Ki tune Kyaa Paaya Hain?
Kya Kahu......Teri Ulffat main maine Dil,Jigar aur Imaan gavaaya hain.
By:-Jitinder Kaur
Date:-Written on...Jan'08
Posted on:-5th Jan'10
Time:-11:00 PM
Mood:-Shattered/Broken,yet in Deep Thoughts