Thursday, December 10, 2009

Rishtaa..........?





Jab us girtey ki Baah thaami maine,toh logo ne kai sawaal kiye.
Kya Rishtaa hain mera ussey?,
Maine Kyun ye naata jodaa hain....................?

Jab aansu uskey bahtey hain,toh kyun ye dil dukhtaa mera hain?
Kyun man vichalit hotaa hain,Jab sunta koi dukh pareera(paraaya) hain?

Tab Khud se hi maine(meri Antaratma) kaha………..
Ki main hu ik Jot khudaa ki, maine khud ye Rishtaa jodaa hain….
Ik Rooh ne Rooh se INSAANIYAT ka naata jodaa hain.

By:-Jitinder Kaur
Date:-9th Dec. 2009
Time:-6:50 PM
Mood:-Deep Involved Thgts(Chintan/Manan)

Wo DoObTa SUraJ........


Yeh Doobta Suraj,itna Surkh Kyun Hain?
Laal angaarey saa ye dehktaa kyun hain?

Shaayad isne samaye hain,khud main kai Dukh, Santaap, aur bahut si aisi apoorit ichaaye,
Jo is Dhalteey din main poori na ho saki.

Dekho Kshitij pe-----Woh doob raha hain.

Apne aap main samaa key lain challa hain Wo Lakho Dard..........Aasma ke garbh main chupaaney ke liye.
Inki aag main tap ke wo khud ko kundan kar rahaa hain.
Par Kal fir ugeygaa......Aur hoga NIRMAl aur SHAANt.
Fir sey baatenga wo khusiyoo aur umeedo ki nayi kirne.
Har kone se door tab Tam hoga.....aur fir se ik Ujlaa Saweraa hoga.


**Apoorit--Adhuri
**Tam---Andhera

By:-Jitinder Kaur
Date:-9th Dec. 2009
Time:-6:00 PM
Mood:-Deeply Involved in Thgts(Chintan/Manan)