
Yeh Doobta Suraj,itna Surkh Kyun Hain?
Laal angaarey saa ye dehktaa kyun hain?
Shaayad isne samaye hain,khud main kai Dukh, Santaap, aur bahut si aisi apoorit ichaaye,
Jo is Dhalteey din main poori na ho saki.
Dekho Kshitij pe-----Woh doob raha hain.
Apne aap main samaa key lain challa hain Wo Lakho Dard..........Aasma ke garbh main chupaaney ke liye.
Inki aag main tap ke wo khud ko kundan kar rahaa hain.
Par Kal fir ugeygaa......Aur hoga NIRMAl aur SHAANt.
Fir sey baatenga wo khusiyoo aur umeedo ki nayi kirne.
Har kone se door tab Tam hoga.....aur fir se ik Ujlaa Saweraa hoga.
**Apoorit--Adhuri
**Tam---Andhera
By:-Jitinder Kaur
Date:-9th Dec. 2009
Time:-6:00 PM
Mood:-Deeply Involved in Thgts(Chintan/Manan)

bahut acha likha Jitinder ji
ReplyDelete